BOODHI MANOICHHA
Ati
shikshit, yogya, samvedansheel, doordarshi, pradhanmantri, pata nahi kin vajaho
se na hi kuch bolte hain na kuch sakaratmak karte hain aur na hi apna pad tyaag
rahe hain. Vajah kuch bhi ho desh aur deshvaasi asahaay mehsoos karjrahe hain.
Bolenge wahi jo madamjo madam ke shabd honge karenge vahi jo madam ka aadesh
ho. Mauni baba ke sahaayak hi uthne wale prashno ka uttar swatah hi de dete
hain. Uma ke iss padhav mein manviya lalsaein
kuch ghtak ho jati hain jo samaj, rashtra sabko prabhavit karti hai.
Saumya, sabhya , atishikshit , yogya singh
sahib ne pradhanmantri kaal me apna avmoolyan hi kiya hai. Suna tha
yogyata anuchit samjhaute se parhej
karti hai par pad laalsa n is dharna ko galat sabit kar dia hai. Yogya, shikshit vyakti ka avanchhaniya
samjhaute karna , swatah ka avmoolyan karna hai. Pradhan manti ji se ek nivedan
haiki ab to koi saarthak sat ik nirnae le jo apki yogyata ke anuroop ho,
kisi ke adeshanusaar nahi.
Pichle kuch ssal se janlokpal, bhrashtachaar, apraadh, mahngai aur
videsh niti ke sandarbh mein singh sahib ki chuppi aur mantriyo ke badbole pan
ne samaj va janta ka nuksaan to kiya hi
hai, aapki chhavi ko taar taar kar diya hai.
Jawabdehi se bhagne se apka daman saaf nahi mana ja sakta. Vraddh kaal
mein kuch to drud nirnay le aur swatah ki chhavi ko bachae. Aapki chhavi chalaak rajneta ki nahi varan yogya pradhan mantri ki haikuch to sochein… kab tak pallu pakad kar
chlenge.
Kade shabdo ke lie mujhe dukh hai par soye singh ko uthana bhi to zaruri
hai.